Surat Al- Fatiha

Posted by Unknown Wednesday, April 13, 2011

" Surat Al- Fatiha "

1 - In Tha Name Of Allah, Most Gracious, Most Merciful
1 - Shuru Karta Hoon Allah Talah Ke Naam Se, Jo Bada Meharban, Nihayat Rahem Wala Hai

2 - Praise Be To Allah The Cherisher And Sustainer Of The Worlds :
2- Sab Tareef Allah Talah keliye Hai Jo Tamaam Jahanoun Ka Palne Wala Hai :

3 - Most Gracious, Most Merciful
3 - Bada Meharban Nihayat Rahem karne Wala Hai

4 - Mater Of The Day Of Judgment
4 - Badle Ke Din (Yani Qiyamat) Ka Malik Hai

5 - Thee Do We Worship And Thine Aid We Seek
5 - Hum Sirf Teri Hi Ibadat Karte Hain Aur Sirf Tujh Hi Se Madad Chahte Hain

6 - Show Us The Straight Way
6 - Hume Seedhi (Aur Sachi) Rah Dikha

7 - The Way Of Those On Whom Thou Has Bestowed The Grace, Those Whose (Portion)Is Not Wrath.
And Who Go Not Astray.
7 - Unn Logoun Ki Rah Jin Par Tu Ne Inaam Kiya Unki Nahi Jin Par Ghazab Kiya Gaya Aur Naa Gumrahi Ki.

" Tafseer "
Surah Fatiha Quran Majeed Ki Sabse Pehli Surat Hai Jiski Ahadees Me Badi Fazilat Aayi Hai
Fatiha Ke Mayene Aghaz Aur Ibteda Ke Hain Isiliye Isse AL-FATIHA Kaha Jata Hai
iska Ek Ahem Naam AL SALAT Bhi Hai
Jaisa Ke Ahadees Qudsi Me Hai
Allah Talah Ne Farmaya Mein Ne Salat(namaz) Ko Apne Bande Ke Darmiyan Taqseem Kar Diya Hai
Murad Surah Fatiha Hai Jis Ka Aadha Hissa Allah Talah Ki Hamd Wo Sana Aur Uski Rahmat Wo Rububiyat Aur Adal Wo Badshahat Ke Bayan Me Hai Aur
Aadha Hisse Me Dua Wo Manajat Hain Jo Bandah Allah Ki Bargah Me Karta Hai Is Hadees Me Surah Fatiha Ko Namaz Se Tabeer Kiya Gaya Hai
Jis Se Ye Saaf Maloom Hota Hai Ke Namaz Me Iska Padhna Bohut Zaroori Hai
(Sahi Muslim.Kitab AL Salat )

ibadat Ke Mayene Hain Kisi Ki Raza Keliye Intehaiye Ajizi Aur Kamal Khushoo Ka Izhar Aur Baqoul
Ibn Kaseer
" Shariyat Me Kamal-E-Mohabbat Khuzoo Aur Khouf Ke Majmue Ka Naam Hai "
Yahi Jis Zaat Ke Sath Mohabbat Bhi Ho Usski Mafooq Alasbaab Taqat Ke Saamne Aajizi Wo Bebasi Ka Izhar Bhi Ho
" Hum Teri Hi Ibadat Karte Hain Tuj Hi Se Madad Chahate Hain "

Na Ibadat Allah Ke Siwa Kisi Ki Jayez Hai ..in Alfaaz Se Shirk Ka Sadbaab Kardiya Gaya Hai
Laikin Jinke Diloun Me Shirk Ka Rog Rah Pagaya Hai Woh Mafooq Alasbaab Aur Matehat Alasbaab Me Farq Ko Nazar Andaaz Karke Awam Ko Maghalte Me Daal Dete Hain Aur Kehte Hain Ke Dekho Hum Bemar Hojate Hain
Toh Doctor Se Madad Hasil Karte Hain,
Biwi Se Madad Chahate Hain
Driver Aur Doosre Insaanoun Se Madad Ke Talib Hote Hain
Iss Tarah Bawur Karate Hain Ke Allah Ke Siwa Auroun Se Madad Maangna Bhi Jayez Hai
Halanke Asbaab Ke Matehat Ek Doosre Se Madad Chahna Aur Madad Karna Yeh Shirk Nahi Hai
Yeh Toh Allah Talah Ka Banaya Hua Nizam Hai
Jisme Saare Kaam Zahari Asbaab Ke Mutabiq Hi Hote Hain
Ambiya Bhi Insanoun Ki Madad Hasil Karte The
Allah Talah Ne Ahl-E-Imaan Ko Farmaya
Neiki Aur Taqwa Ke Kaamoun Par Ek Doosre Ki Madad Karo zakir Baat Hai Ke Taoun Mamnoo Hai Naa Shirk
Balke Matloob Wo Mehmood Hai

Quran Tafseer Wo Tarjuma
Shah Fahad Bin Abdul Aziz Al Saoud
Madinah


Ya Allah Hume Quran Padhne Samajhne Aur Allah Ke Bataye Raaste Par Chalne Ki Toufeeq Aata Farma

0 comments

Post a Comment

Share |