Ilm Nafaah

Posted by Unknown Wednesday, April 06, 2011



Ilm Noor-E-Ilaahi Hai Ye Wo Roshni Hai Jo Kisi Bhi Society Ko Jahalat Wo Gumrahi Ki Pastiyoun Se Nikaal Kar Bulandiyoun Ke Taraf Lejati Hai

Humare RasoolKareem Sallalahu Alaihe Wassalam Par Wahi Ka Nuzool Bhi ilm Hi Se Talouq Tha ….

jisme AAP Sallalahu Alaihe Wassalam Ko Padhne Ka Hukum Diya Gaya Tha…

Quran-E-Paak Me Qalm Aur Tehreer Ki Qasam Khayi Gayi Hai Jo Bajaye Khud ilm Ki Bulandi Wo Azmat Ki Daleel Hai….

ilm Quwah Kamm Hi Kyun Naa Ho Laikin iska Faiyadamand Hona Zaroori Hai…

Quran-E-Paak Me Ulma-E-Yahood Ko Gadhe Se Tashbiyah Di Gayi Hai Kyunki inka ilm Nafaah Naa Tha…..

Aaj Humare Society Me ilm Ki Kasrat..Taleem Aur Taleemi idairaoun Ki Behtaat Ke Bawjood Aqlaaqi Girawat Aur Deen Se Doori Ka Sabab Yahi ilm Ghair Nafaah Hai….

Allah Ke Rasool Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Aise ilm Se Allah Ki Panah Maangi Hai Jo ilm Nafaah Naa Ho

“ Allahumma inni Aaouzbika minilmi layanfaou “( Muslim )


Hadees Ka Ye Chota Sa Jumla Hume Bata Raha Hai Ke Husool-E-Ilm Ka Maqsad Raza-E-Ilaahi Aur Qidmat-E-Qalq Hona Chahiye Agar Kisi ilm Ka Maqsad Na Ho Toh Wo Saheb-E-Ilm Keliye Nijaat Ke Bajaye Halakat Ka Sabab Bann Jaya Karta Hai…

Rasool Kareem Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Farmaya……


Aaye Logo …!!


Ilm Seekhne Se Aata Hai Aur Allah Subhana Wa Talah Jis Kisi Ke Sath Qair Wo Bhalayi Ka Irada Farmata Hai Toh Usse Deen Ka Fehem Aur Samajh Bujh Ataa Farmata Hai Aur Beshakk Allah Talah Se Darne Wale Ulmaa Hi Honge…

(AlTabrani)

0 comments

Post a Comment

Share |