Khair Wo Sharr Ki Chabiyaan

Posted by Unknown Sunday, January 23, 2011

“ Khair Wo Sharr Ki Chabiyaan “


Allah Subhana Wa Talah Ne Har Insaan Ko Khair Wo Sharr Me Tameez Karne Aur Usse Pechanne Ki Salahiyat Bakshi Hai

Insaan Jaanta Hai Ke Ye Sharr Hai Aur Ye Khair

Ye Sach Wo Haq Hai,

Aur Ye Jhoot Wo Batil Hai

Ye Neiki Hai Aur Ye Burai Hai

Phir Har Insaan Ko Duniya Ki Zindagi Me Ye Iqtiyar Wo Azadi Bhi Dedi Gayi Hai Ke Who Chahe Toh Hidayat Qabool Karke Ita’at Wo Farmabardaari Iqtiyaar Kare Aur Neikiyaan Kamaye

Aur Agar Chahe Toh Gumrahi Wale Raaste Par Chale Aur Nafarmani Wo Sarkashi Ko Apna Kar Gunahoun Wali Zindagi Guzare

“ Aur Aap Farmadijiye Ke Haq Tumhare Rabb Ki Taraf Se (Khoob Wazeh) Hai Phir Jo Chahe Tu Iman Qabool Karle Aur Jo Chahe Toh Kufr Iqtiyaar Karle “
(AlKhef Ayat 29)

Doosri Jagah Allah Subhana Wa Talah Ne Irshad Farmaya

“ Beshak Hum Ne Ussko (insan) Ko Sahi Seedhe Raaste Ki Pechan Karadi Hai Ye Chahe Toh Shukar Guzar Banda Bane Aur Chahe Toh Nashukri Wo Kufr Kare “
(SurahAldahar ayat 3)

Imaan Wo Iqlaas Aur Ihtesaab Ke Sath Ki Jaane Wali Har Neiki Qabool Ki Jaati Hai,

Insaan Apne Aap Ko Khair Ki Chabi Bhi Bana Sakta Hai Aur Sharr Ka Sabab Bhi Bann Sakta hai

Khushnaseeb Aur Aqalmand Woh Insaan Hai Jo Maamoli Si Neiki Ko Bhi Haqeer Naa Samjhe Aur Neiki Ke Har Kaam Me Paish Paish Ho,

Taake Khair Waloun Me Shumaar Hosake,

Kuch Log (Mard Ho Ya Aurat) Aise Hain Ke Khair Ke Kaam Me Aur Deen Wo Bhalai Ke Har Maidaan Me Aap Unhein Sabse Aage Paayenge,


Infradi Neiki Ho Ya Doosre Ke Sath Bhalai,

Farayez Wo Nawafeel Ki Adayegi

Doosroun Ki Qidmat Wo Madad,

Huqooq-E-Allah Ho Ya Huqooq-AL-Ibaat,

Ye Log Har Achai Aur Har Ache Muqaam Par Paish Paish Nazar Aayenge

Yahi Woh Log Hain Jo

KHAIR KI CHABIYAAN Hain

Jinhe Sarkar DoAalam Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Maftah AL Khair Qaraar Diya Hai Inkeliye Basharat Hai,


Doosri Taraf Woh Log Hain Jo Sharat,

Dushmani, Aziyat, Takleef, Nafarmani, Burai, Gumrahi, Aur Har Sharr Ke Kaam Me Paish Paish Hote Hain,

Jahan Kahin Bhi Fitna, Wo Fisad Aur Gunah Wala Mamla Ho Woh Apko Saff-E-Awwal Me Nazar Aayenge

Sirf Apne Aapko Haq Parast Samjh Kar Poori Ummat Ko Gumrah Qaraar Dene Wale,

Har Musalmaan Ke Aqidah Wo Amal Par Tanziya Jumle Kasne Wale,

Sahaba Wo Buzrugan-E-Deen Ki Gustaqi Karne Wale,

Huqooq Allah, HuqooqAl-Ibaad Ko Pamaal Karne Wale,

Ye Woh Log Hain Jo Mufta Alsharr Hain Ke Sharr Wo Fitna Ke Har Programme Me Paish Paish Rehte Hain

Agar Ye Chahein Toh Mamooli Si Neiki Karke Bhi Apni Islah Kar Sakte Hain

Aur Neikiyaan Kama Sakte Hain,

Asan Aur Halki Phulki Neikiyan Hi Insaan Ka Sarmaya-E-Hayat Hai

Aise Logoun Ko Chahiye Ke Sache Dil Se Touba Karke Forann Ache Amaal Ko Apnayein

Taake Inka Nama-E-Amaal Wazni Hosake Aur Aaqirat Ke Dayemi Kamayabi Se Hamkinaar Hojayein

“ “ Duniya Ki Zindagi Me Logoun Ka Logoun Se Waasta Padta Rahega

Laikin Unn Me Khushbaqt Log Qaal Qaal Nazar Aayenge, Logoun Me Sabse Afzal Wo Insan Hai Jiske Hathoun Doosroun Ki Zarooratein Poori Hoti hain “ “

Allah Subhana Wa Talah Hum Sab Ko Neik Amal Karne Ki Toufeq Aata farmaye

Gunhaoun Se Bachaye Aur Neiki Ke Raaste Par Chalaye....Ameeen Ya Rabbul Alameen

May All Our Good Deeds & Dua's Will Be Accepted, Wishes Fulfilled And All Our Sins Forgiven InshaAllah.. . ALLAH Bless You All Every Step Of Life

0 comments

Post a Comment

Share |